khana kam nhi hai bagir bismillah k khao

khana kam nhi hai bagir bismillah k khao

 Ek Khan Sahab the aur ek tabligi aadami the donon ka kisi tabil safar mein sath Ho Gaya aur donon gehre dost ban Gaye Safar ke bad donon Apne Apne mulk chale gaye khat vo kitabat se batchit Hoti Rahi ittefaq se Khan sahab tabligi dost ke mulk mein kisi jarurat se a gaye aur apne dost se milane Gaye jab donon ki mulakat Hui to donon bahut khush hue dopahar ke khane ka waqt ho chuka tha Khan Sahab ko khana khilane ke liye rok liya Khan Sahab Masha Allah tandurust aur Jawan the Khan Sahaban amuman khana jyada khate bhi hai jab khana taiyar ho gaya aur dastarkhan per lag Gaya to Khan Sahab ko khane ke liye Bulaya aur kaha Khan Sahab Bismillah padhakar shuru kijiye Allah tala khane mein Barkat dega yah Alfaaz Khan sahab ke dimag mein gunjane Lage ki yah mujhse Bismillah padhne ko kyon kya hai uski samajh mein aaya ki khana kam hai isliye mujhko Bismillah padhne ko Kah Raha hai Kahan Sahab bhi sedhe sadhe bhole tabiyat ke aadami the Bismillah padh kar khana shuru kar diya ittefaq se khana khatm ho gaya khane ke bad vah Apne mulk chale Gaye ittefaq se tabligi dost ek martba tabligi jamaat ke sath khas sahab ke mulk gaye aur Amir jamaat se ijaajat lekar Apne dost Khan sahab se milane Gaye donon ki mulakat Hui to bahut khush hue aur kahan Sahab khana khilane Apne Ghar le Gaye tabligi dost ne Khan Sahab ko khane k waqt Bismillah padhne ko jo kaha tha vah uske dimag mein Aaj bhi khatak raha tha Khan Sahab ne bahut sa khana taiyar karaya aur dastarkhan bichhakar bahut badi thali jismein takriban 10 kilo khana a sakta tha bharkar Apne dost ke samne rakh Diya aur kaha aao bhai Bismillah mat bolo aise hi Khao aapane Jo mujhe khana khilaya tha vah kam tha isliye aapane mujhe Bismillah padhvai thi vah mujhe abhi tak yad hai isliye maine aapke samne bahut sa khana rakh Diya hai ismein Barkat ki jarurat nahin hai lihaza Bismillah bade bagair khaea khana Kam nahin hoga. 

Note 
Jo log padha likha nahin hota vah log sab yahi samjhe ga

Comments

Popular posts from this blog

Anjan shar mi anjan ladka.

Munh Miya Mitho

MUNH MIYAAN MATTO